Yeh Baat Hai Mere Dil-E-Muztar Ki Kabhi| Sad Ghazal Shayari

Ghazal Shayari -112

Sad Ghazal Shayari by Guest: Akash Verma


Yeh Baat Hai Mere Dil-E-Muztar Ki Kabhi...


Yeh-Baat-Hai-Mere-Dil-E-Muztar-Ki-Kabhi-Sad-Ghazal-Shayari
Author:
Guest-author-pic
"Many Thanks for your Shayari Submission."
Visitor, you can also Submit Your Own Shayari Here.


Yeh Baat Hai Mere *Dil-E-Muztar Ki Kabhi,
Raat Ho Aur Wo Mere Saath Ho Kabhi,

Tujhe Na Chu Sakta Na Tujhse Mil Sakta,
Yeh Aarzu Hai Ki Dekhne Ko Mile Tu Bhi Kabhi,

Na Qaabil Hoon Main Tere Deed Ke Magar,
Bas Ek Pal Teri Ankho Me Dekhun Kabhi,

Woh Na-Shaam Hai Jo Deedar Na Ho Tera,
Main Mashuq Hoon Ki Intezar Hai Kabhi,

Besabri Se Jeete Hain Hum Ki *Vasl-E-Raat,
Wo Piya Ki Baahon Me Samtega Kabhi,

Mohabbat Ke The Din Pehle Magar Ab To,
Manjar Hai Jo Dekh Lete Hain Hum Bhi Kabhi,

Tere To Charche Hain Uss Jannat Me Bhi,
Par Hum Hain Ki Marke Jayenge Jehenum Kabhi,

Yeh Zalim Duniya Na Yeh Berehem Zamana,
Aksh Mara Rafta Rafta Tere Pyaar Mai Kabhi...



Word Meanings -

Dil-E-Muztar = Impatient Heart
Vasl-E-Raat = Meeting Night


Must Read:- Mere Khwabon Ko Sajaye Jo Zeenat Deedar Na Mila | Shayari Ghazal





शायरी ग़ज़ल -112

सेड ग़ज़ल शायरी द्वारा: आकाश वर्मा


यह बात है मेरे दिल-ऐ-मुज़्तर की कभी...


यह बात है मेरे *दिल-ऐ-मुज़्तर की कभी,
रात हो और वह मेरे साथ हो कभी,

तुझे न छू सकता न तुझसे मिल सकता,
यह आरज़ू है की देखने को मिले तू भी कभी,

न क़ाबिल हूँ मैं तेरे दीद के मगर,
बस एक पल तेरी आँखों में देखूं कभी,

वह न-शाम है जो दीदार न हो तेरा,
मैं माशूक़ हूँ की इंतज़ार है कभी,

बेसब्री से जीते हैं हम की *वसल-ऐ-रात,
वो पिया की बाहों में समटेगा कभी,

मोहब्बत के थे दिन पहले मगर अब तो,
मंजर है जो देख लेते हैं हम भी कभी,

तेरे तो चर्चे हैं उस जन्नत में भी,
पर हम हैं की मरके जायेंगे जहनुम कभी,

यह ज़ालिम दुनिया न यह बेरहम ज़माना,
अक्ष मरा रफ्ता रफ्ता तेरे प्यार मे कभी...


शब्दार्थ-

दिल-ऐ-मुज़्तर = अधीर मन/दिल
वसल-ऐ-रात = मिलन की रात


No comments:

Post a Comment

Copyright: @jaykc86. Powered by Blogger.