Ghazal Shayari -108
Sad Ghazal Shayari by Guest: Amol Priyavardhan
Bahut Waqt Fareb Dhone Ko Hai...
Author:
"Many Thanks for your Shayari Submission."
Visitor, you can also Submit Your Own Shayari Here.
Visitor, you can also Submit Your Own Shayari Here.
Ye Saaneha Khatm Hone Ko Hai,
Raat Ab Bas Sone Ko Hai,
Tujhse Bichhad Kar Mere Paas,
Faqat Jaan Khone Ko Hai,
Bahut Roka Gar Ek Na Maani,
Ab Ye Dil Rone Ko Hai,
Kuch Bhi Na Raha Mere Paas To Ab,
Bas Ek Aansoo Zameen Me Bone Ko Hai,
Na Tu Hai, Na Teri Shay Hai Koi,
Bas Yaad Taabeez Me Pirone Ko Hai,
Tum To Theek Se Rah Logi,
Ik Kuli Dil Dhone Ko Hai,
Rafta Rafta Is Muhalle Me Ab,
Hamaara Pushtainee Makaan Khone Ko Hai,
Baad-E-Hijr Tere Paas E 'Amol',
Bahut Waqt Fareb Dhone Ko Hai...
Must Read:- Muddat Hui Un Raaho Se Guzar Kar Nahi Dekha | Ghazal Shayari
शायरी ग़ज़ल -108
सेड ग़ज़ल शायरी द्वारा: अमोल प्रियवर्धनबहुत वक़्त फरेब धोने को है...
ये सानेहा ख़त्म होने को है,
रात अब बस सोने को है,
तुझसे बिछड़ कर मेरे पास,
फ़क़त जान खोने को है,
बहुत रोका गर एक न मानी,
अब ये दिल रोने को है,
कुछ भी न रहा मेरे पास तो अब,
बस एक आंसू ज़मीन में बोने को है,
न तू है, न तेरी शय है कोई,
बस याद ताबीज़ में पिरोने को है,
तुम तो ठीक से रह लोगी,
इक कुली दिल ढोने को है,
रफ्ता रफ्ता इस मुहल्ले में अब,
हमारा पुश्तैनी मकां खोने को है,
बाद-ए-हिज्र तेरे पास ऐ 'अमोल',
बहुत वक़्त फरेब धोने को है...
No comments:
Post a Comment