Jahan Bhi Dekhiye Azaab Hi Azaab Lage | Sad Ghazal Shayari

Ghazal Shayari -102

Sad Ghazal Shayari by Guest: Neel Trivedi


Jahan Bhi Dekhiye Azaab Hi Azaab Lage...


Jahan-Bhi-Dekhiye-Azaab-Hi-Azaab-Lage-Sad-Ghazal-Shayari


Author:
Guest-author-pic
"Many Thanks for your Shayari Submission."
Visitor, you can also Submit Your Own Shayari Here.


Jahan Bhi Dekhiye *Azaab Hi Azaab Lage,
Hansi Bhi Honth Ko Behlaane Ka *Saraab Lage,

Na Jaane Jazbe Ko Dabaaya Kab Kafan Ke Tale,
Ke Boonden Ashq Ki Bhi Humko Ab *Savaab Lage,

Kayi Charaag Subah Tak Gharon Me Jalte Rahe,
Na Jaane Ktine Dil Jalaa ke Aftaab Lage,

Sitam Bhi Kijiye Kabool Hai Jafaa Bhi Humen,
Fida Hain Itne Ke Zeher Bhi Ab Sharaab Lage,

Suna Hai Kar Yakeen Uska Jise Dekha Nahin,
Bataao *Waaizon Kyun Mannaten Hisaab Lage...


Word Meanings -

Azaab = Torment or Agony
Saraab = Mirage or Illusion
Savaab = Reward of good deeds
Waaizon = Preachers



Must Read:- Ik Tere Aane se Pehle Ik Tere Jane ke Baad | Sad Shayari





शायरी ग़ज़ल -102

सेड ग़ज़ल शायरी द्वारा: नील त्रिवेदी


जहाँ भी देखिये अज़ाब ही अज़ाब लगे...


जहाँ भी देखिये *अज़ाब ही अज़ाब लगे,
हंसी भी होंठ को बहलाने का *सराब लगे,

न जाने जज़्बे को दबाया कब कफ़न के तले,
के बूँदें अश्क़ की भी हमको अब *सवाब लगे,

कई चराग सुबह तक घरों में जलते रहे,
न जाने क्तिने दिल जला के आफ़ताब लगे,

सितम भी कीजिये कबूल है जफा भी हमें,
फ़िदा हैं इतने के ज़हर भी अब शराब लगे,

सुना है कर यकीन उसका जिसे देखा नहीं,
बताओ *वाइज़ों क्यूँ मन्नतें हिसाब लगे...


शब्दार्थ-

अज़ाब = पीड़ा
सराब = भ्रम
सवाब = अच्छे कर्मों का प्रतिफल
वाइज़ों = उपदेशक


Another Shayari by the Same Author:

Sheikh Yeh Kehte Hain | Simple Ghazal Shayari

No comments:

Post a Comment

Copyright: @jaykc86. Powered by Blogger.