Ghazal Shayari -88
Love Ghazal Shayari by Guest: Mohammad Sahil
Teri Mohabbat Me Dar-Dar Khud Ko Badnaam Kar Raha Hoon...
Author:
"Many Thanks for your Shayari Submission."
Visitor, you can also Submit Your Own Shayari Here.
Visitor, you can also Submit Your Own Shayari Here.
Main Zamaane Se Chhup Kar Ye Galat Kaam Kar Raha Hoon,
Teri Mohabbat Me Dar-Dar Khud Ko Badnaam Kar Raha Hoon,
Abhi Na Satao Yaaro Ke Mujhko Khud Bhi Hosh Kahan,
Main Uske Khyaalon Me Apni Subah Shaam Kar Raha Hoon,
Wo Meri Gali Se Guzaren To Thoda Thahar Kar Guzaren,
Unki Khidmat-Gaari Ka Thoda Intajaam Kar Raha Hoon,
Dushman Se Dushmani Bhi Na Chhup Kar Nibhayi Hai Maine,
Tujhse Ijahaar-E-Mohabbat Bhi Sar-E-Aam Kar Raha Hoon,
Kar Raha Hoon Takaseem Maal-O-Jar Do Hisson Me,
Main Khud Ko Jameen Aur Tumhe Aasmaan Kar Raha Hoon,
Wo Poochh Baitha Mujhse Batao Kitna Ajeez Hoon Main,
Ye Apna Dil Tumhe Todne Ka Ahkaam Kar Raha Hoon,
Karo Barbaad Mujhe Magar Shart Hai Fakat Uske Saath,
Hukmaraanon Main Apni Barbadi Ka Paigaam Kar Raha Hoon,
Usne Kaha Tha SAHIL In Me Hain Kuch Log Apne Bhi,
E Tamaashayi, Bas Isi Baat Ka Ehtaraam Kar Raha Hoon...
Must Read:- Dil Ki Mulaqaat Kabhi Dil Se Karana To Sahi | Love Shayari Ghazal
लम्बी शायरी ग़ज़ल -88
लव ग़ज़ल शायरी द्वारा: मोहम्मद साहिलतेरी मोहब्बत में दर-दर खुद को बदनाम कर रहा हूं...
मैं जमाने से छुप कर ये ग़लत काम कर रहा हूं,
तेरी मोहब्बत में दर-दर खुद को बदनाम कर रहा हूं,
अभी ना सताओ यारो के मुझको खुद भी होश कहां,
मैं उसके ख्यालों में अपनी सुबह शाम कर रहा हूं,
वो मेरी गली से गुज़रें तो थोड़ा ठहर कर गुज़रें,
उनकी खिदमतगारी का थोड़ा इंतजाम कर रहा हूं,
दुश्मन से दुश्मनी भी ना छुप कर निभाई है मैंने,
तुझसे इजहार-ए-मोहब्बत भी सर-ए-आम कर रहा हूं,
कर रहा हूं तकसीम माल-ओ-जर दो हिस्सो में,
मैं खुद को जमीं और तुम्हे आसमान कर रहा हूं,
वो पूछ बैठा मुझसे बताओ कितना अजीज हूं मैं,
ये अपना दिल तुम्हे तोड़ने का अहकाम कर रहा हूं,
करो बर्बाद मुझे मगर शर्त है फकत उसके साथ,
हुक्मरानों में अपनी बर्बादी का पैगाम कर रहा हूं,
उसने कहा था साहिल इनमें हैं कुछ लोग अपने भी,
ऐ तमाशाई, बस इसी बात का एहतराम कर रहा हूं...
No comments:
Post a Comment