Main Chhupaata Hun Aankhen Sab Bata Deti Hain | Shayari Ghazal

Ghazal Shayari -75

Sad Ghazal Shayari by Guest: Mohammad Sahil


Main Chhupaata Hun Ye Aankhen Sab Bata Deti Hain...


Main-Chhupaata-Hun-Aankhen-Sab-Bata-Deti-Hain-Shayari-Ghazal


Author:
Guest-author-pic
"Many Thanks for your Shayari Submission."
Visitor, you can also Submit Your Own Shayari Here.


Main Chhupaata Hun Ye Aankhen Sab Bata Deti Hain,
Yakinan Galatiyan Tajurbe Ko Hawa Deti Hain.

Main Karta Hun Mohabbat Par Shikayaten To Sun,
Zindagi Tu Kyun Har Roj Nayi Wajah Deti Hai.

Baat Sirf Itni Si Thi Ki Main Aasmaan Choo Nahin Sakta,
Ye Duniya Kyun Maayusi Ko Mere Ghar Ka Pata Deti Hai,

Maine Likh To Diya Tha Tera Naam Ret Par,
Ye Lehren Hain Jo Mere Lafzon Ko Mita Deti Hain.

Ye Zakhm Nahin Mere Jism Par Mehnat Ki Nishaani Hai,
Mushkilen Hi To Manzil Ka Maza Deti Hain...



Must Read:- Pyar Ki Chahat Hai Kuch Is Taraf Kuch Us Taraf | Ghazal Shayari





लम्बी शायरी ग़ज़ल -75

सेड ग़ज़ल शायरी द्वारा: मोहम्मद साहिल


मैं छुपाता हूँ ये आँखें सब बता देती हैं...


मैं छुपाता हूँ ये आँखें सब बता देती हैं,
यक़ीनन गलतियाँ तजुर्बे को हवा देती हैं.

मैं करता हूँ मोहब्बत पर शिकायतें तो सुन,
ज़िन्दगी तु क्यों हर रोज नई वजह देती है.

बात सिर्फ इतनी सी थी की मैं आसमां छू नहीं सकता,
ये दुनिया क्यों मायूसी को मेरे घर का पता देती है,

मैंने लिख तो दिया था तेरा नाम रेत पर,
ये लहरें हैं जो मेरे लफ़्ज़ों को मिटा देती हैं.

ये ज़ख्म नहीं मेरे जिस्म पर मेहनत की निशानी है,
मुश्किलें ही तो मंज़िल का मज़ा देती हैं...


No comments:

Post a Comment

Copyright: @jaykc86. Powered by Blogger.