Zindagi Ko Dileri Se Kabhi Koi Guzaar Kar Dekhe-Ghazal Shayari

Ghazal Shayari -31

Simple Ghazal Shayari by Guest: Mayuresh


Zindagi Ko Dileri Se Kabhi Koi Guzaar Kar Dekhe...


Zindagi-Ko-Dileri-Se-Kabhi-Koi-Guzaar-Kar-Dekhe-Ghazal-Shayari


Author:
"Many Thanks for your Shayari Submission."
Visitor, you can also Submit Your Own Shayari Here.


Zindagi Ko Dileri Se Kabhi,
Koi Guzaar Kar Dekhe,
Nazro Pe Chad Gye Hain,
Wo Parde Utaar Kar Dekhe.

Suna Tha Majhdhaar Me,
Log Doob Jaaya Karte Hain,
Haqeqat Ko Tab Jaana,
Jab Samander Paar Kar Dekhe.

Fateh Ka Maza Nahi,
Jab Shikast Ka Dar Na Ho,
Jeeta Ho Hamesha Jo,
Wo Kabhi To Haar Kar Dekhe.

Ibaadat Me Jo Jazba Hai,
Wo Taqdeer Se Milta Hai,
Qaafir Bhi Yun Khudaa Pe Kabhi,
Aitbaar Kar Dekhe.

Zindagi Ko Dileri Se Kabhi,
Koi Guzaar Kar Dekhe...
Nazro Pe Chad Gye Hain,
Wo Parde Utaar Kar Dekhe...



Must Read:- Waqt To Har Waqt Bas Chalta Hi Jayega | Ghazal Shayari





लम्बी शायरी ग़ज़ल -31

सिंपल ग़ज़ल शायरी द्वारा: मयुरेश


ज़िन्दगी को दिलेरी से कभी कोई गुज़ार कर देखे...


ज़िन्दगी को दिलेरी से कभी,
कोई गुज़ार कर देखे,
नज़रों पे चढ़ गए हैं,
वो परदे उतार कर देखे।

सुना था मझधार में,
लोग डूब जाया करते हैं,
हक़ीक़त को तब जाना,
जब समंदर पार कर देखे।

फ़तेह का मज़ा नहीं,
जब शिकस्त का डर न हो,
जीता हो हमेशा जो,
वो कभी तो हार कर देखेे।

इबादत में जो जज़्बा है,
वो तक़दीर से मिलता है,
काफ़िर भी यूँ खुदा पे कभी,
ऐतबार कर देखे।

ज़िन्दगी को दिलेरी से कभी,
कोई गुज़ार कर देखे...
नज़रों पे चढ़ गए हैं,
वो परदे उतार कर देखे...


No comments:

Post a Comment

Copyright: @jaykc86. Powered by Blogger.