Ghazal Shayari -30
Simple Ghazal Shayari by Guest: MayureshWaqt Bhi Aksar Yun Hi Imtihaan Liya Karta Hai...
Author:
"Many Thanks for your Shayari Submission."
You can also Submit Your Own Shayari Here.
You can also Submit Your Own Shayari Here.
Waqt Bhi Aksar Yun Hi, Imtihaan Liya Karta Hai,
Insaan Me Agar Ho Jazba, To Maan Liya Karta Hai...
Zindagi Ki Mushkilen,
Hausale Ka Pata Deti Hain,
Kar Guzarta Hai Wo Insaan,
Jo Thaan Liya Karta Hai,
Waqt Bhi Aksar Yun Hi, Imtihaan Liya Karta Hai...
Jeene Ka Saleeka To Bas,
Jeene Se Haasil Hoga,
Saans Lekar Kyun Zamane Pe,
Ehsaan Kiya Karta Hai,
Waqt Bhi Aksar Yun Hi, Imtihaan Liya Karta Hai...
Aqal Wale Samajhte Nahi,
Ibaadat Ko, Mohabbat Ko,
Aur Kehte Hain Dil Lagana,
Pareshan Kiya Karta Hai,
Insaan Me Agar Ho Jazba, To Maan Liya Karta Hai...
Waqt Bhi Aksar Yun Hi, Imtihaan Liya Karta Hai...
Must Read:- Teri Soch Se Badhkr Tu Mujhe Pyara Hai- Ghazal Shayari SHAAZ
लम्बी शायरी ग़ज़ल -30
सिंपल ग़ज़ल शायरी द्वारा: मयुरेशवक़्त भी अक्सर यूँ ही इम्तिहान लिया करता है...
वक़्त भी अक्सर यूँ ही, इम्तिहान लिया करता है,
इंसान में अगर हो जज़्बा, तो मान लिया करता है...
ज़िन्दगी की मुश्किलें,
हौसले का पता देती हैं,
कर गुजरता है वो इंसान,
जो ठान लिया करता है,
वक़्त भी अक्सर यूँ ही, इम्तिहान लिया करता है...
जीने का सलीका तो बस,
जीने से हासिल होगा,
सांस लेकर क्यों ज़माने पे,
एहसान किया करता है,
वक़्त भी अक्सर यूँ ही, इम्तिहान लिया करता है...
अक्ल वाले समझते नहीं,
इबादत को, मोहब्बत को,
और कहते हैं दिल लगाना,
परेशान किया करता है,
इंसान में अगर हो जज़्बा, तो मान लिया करता है...
वक़्त भी अक्सर यूँ ही, इम्तिहान लिया करता है...
No comments:
Post a Comment