Ghazal Shayari -26
Simple Ghazal Shayari by Guest: MayureshEk Din Ghar Se Nikalkar Shahar Ka Rasta Dekha...
Author:
"Many Thanks for your Shayari Submission."
You can also Submit Your Own Shayari Here.
You can also Submit Your Own Shayari Here.
Ek Din Ghar Se Nikal kar,
Jab Shahar Ka Rasta Dekha,
Maut Ko Mehnga Aur,
Zindagi Ko Sasta Dekha.
Waqt Ki Raftaar Se,
Chalti Hui Duniya Dekhi,
Apna Wajood Bhoole,
Logon Ka Dasta Dekha.
Bikhri Hui Thi Zindagi,
Har Ik Mod Pe Is Qadar,
Chand Niwalo Ki Khaatir,
Kitno Ko Tarasta Dekha.
Har Lamhe Me Badh Rahi Thi,
Nafrat Yun Zamane Me ,
Baadalo Ko Khamosh Aur,
Insano Ko Barasta Dekha.
Ek Din Ghar Se Nikalkar,
Jab Shahar Ka Rasta Dekha,
Maut Ko Mehnga Aur,
Zindagi Ko Sasta Dekha...
Must Read:- Kal Tak Jo Kehte The Humen Apna Aaj Wo… | Ghajal Shayari
लम्बी शायरी ग़ज़ल -26
सिंपल ग़ज़ल शायरी द्वारा: मयुरेशएक दिन घर से निकलकर जब शहर का रस्ता देखा...
एक दिन घर से निकलकर,
जब शहर का रस्ता देखा,
मौत को महंगा और,
ज़िन्दगी को सस्ता देखा।
वक़्त की रफ़्तार से,
चलती हुई दुनिया देखी,
अपना वजूद भूले,
लोगों का दस्ता देखा।
बिखरी हुई थी ज़िन्दगी,
हर इक मोड़ पे इस क़दर,
चंद निवालो की खातिर,
कितनो को तरसता देखा।
हर लम्हे में बढ़ रही थी,
नफरत यूँ ज़माने में,
बादलों को खामोश और,
इंसानों को बरसता देखा।
एक दिन घर से निकलकर,
जब शहर का रस्ता देखा,
मौत को महंगा और,
ज़िन्दगी को सस्ता देखा...
Another version of this Shayari by Same Author:
Muddat Hui Un Raaho Se Guzar Kar Nahi Dekha | Ghazal Shayari
Muddat Hui Un Raaho Se Guzar Kar Nahi Dekha | Ghazal Shayari
No comments:
Post a Comment