Sad Shayari Images -8
Guest Shayari By: Ananya
Tumhari Mehbooba Ki Taarif Me...
Author:
Ananya on Facebook
"Many Thanks for your Shayari Submission."
You can also Submit Your Own Shayari Here.
You can also Submit Your Own Shayari Here.
सेड शायरी पिक्चर्स के साथ -8
गेस्ट शायरी द्वारा: अनन्यातुम्हारी महबूबा की तारीफ़ में...
Tumhari Mehbooba Ki Taarif Me,
Zikr Humari Nazmon Ka Hota Hai,
Pichha Chhudana Kisi Shayar Ke Ishq Se,
Kaha Tha Na Bada Mushqil Hota Hai.
तुम्हारी महबूबा की तारीफ़ में,
ज़िक्र हमारी नज़्मों का होता है,
पीछा छुड़ाना किसी शायर के इश्क़ से,
कहा था न बड़ा मुश्किल होता है।
Farzi Mohabbat Ke Izhaar Se Unke,
Hum Inkaar Na Kar Sake,
Ilm Tha Ki Ishq Nahi Istemaal Kar Rahe Hain,
Fir Bhi Khud Ko Unki Fareb Se Riha Na Kar Sake.
फर्जी मोहब्बत के इजहार से उनके,
हम इंकार न कर सके,
इल्म था कि इश्क़ नहीं इस्तेमाल कर रहे हैं,
फिर भी खुद को उनकी फ़रेब से रिहा न कर सके।
Khud Ko Kho Diya Unn Palon Me,
Jinhe Tumhaare Naam Kiya Tha,
Khuda Bhi Mil Jaate Gar Utna Waqt,
Humne Ibaadat Me Guzara Hota.
खुद को खो दिया उन पलों में,
जिन्हे तुम्हारे नाम किया था,
खुदा भी मिल जाते गर उतना वक़्त,
हमने इबादत में गुज़ारा होता।
Must Read:- Unsay kehna - Valentine Touching Sad Shayari for Lovers
Wo Hulchul Jise Chehre Tak Pahunchne Nahi Dete Hum,
Aksar Sailaab Ban Palkon Se Chhalakte Hain,
Ek Tanhaai Hi Gawaah Hai Ki Mehez Zikr Ke Tumhare,
Hum Par Aaj Bhi Kya Kya Asar Hote Hain.
वो हलचल जिसे चेहरे तक पहुँचने नहीं देते हम,
अक्सर सैलाब बन पलकों से छलकते हैं,
एक तन्हाई ही गवाह है कि महज़ ज़िक्र के तुम्हारे,
हम पर आज भी क्या क्या असर होते हैं।
Gairon Ke Dard Ko Alfaaz De Kar,
Kamaal Ki Nazmein Likh Leta Tha,
Wo Jo Kisi Apne Ko Khone Ke Baad,
Ab Kalam Se Nata Tod Liya Hai.
गैरों की दर्द को अलफ़ाज़ दे कर,
कमाल की नज़्में लिख लेता था,
वो जो किसी अपने को खोने के बाद,
अब कलम से नाता तोड़ लिया है।
Recommended Shayari by Same Author:
Mohabbat Me Nahi Zaroori Mohabbat Karna Aana | Guest Shayari
No comments:
Post a Comment