Bachpan Ke Yaar Hote Hain Dildaar | Dosti Shayari Ghazal

Ghazal Shayari -22

Simple Ghazal Shayari by Guest: Sagar Kumar


Bachpan Ke Yaar Shayari...


Bachpan-ke-yaar-hote-hain-dildaar-dosti-shayari-hindi


Author:
Guest-author-pic
"Many Thanks for your Shayari Submission"


Childhood Friends Poetry Hindi - Guest Ghajal Shayari Hindi/Long Shayari


Yun He Nahi Ban Jaate Dilon Ke Rishtay Or Rehtay Hain Sada-Bahaar,
Chahay Ho Jaye Kitni Bhi Ladai, Ho Jaen Gussa Ek-Dusre Se Sao Baar,
Phir Bhi Mushkil Ghari Main Dete Hain Ek Dusre Ka Saath Har Baar,
Inheen Ko To Kahtey Hain Bachpan Ke Yaar.

Tareefain Kartay Hain Bina Kisi Maqsad Ke,
Jaan Chiraknay Ko Rehtay Hain Har Dum Taeyaar,
Pyar Karte Hain Dil Se Dikhatay Nahi Yaar Morden Hai Ya Gwaar,
Aksar Inki Gaaliyon Se Hee Pata Chal Jata Hai Inka Pyaar,
Inheen Ko To Kahetay Hain Bachpan Ke Yaar.

Bhalay Hi Rehtay Hon Saat Samandar Paar,
Lekin Fir Bhi Sun Lete Hain Ek Doojhe Ki Pukaar,
Zindagi Ki Is Bhaag Dor Mein Bhi,
Milne Ko Yaaron Se, Ye Khol He Lete Hain Waqt Ke Dwaar.

Jab Bhi Milte Hain Khoo Jaate Hain Apne Yaaron Mein Yaar,
Yaaron Ke Beech Koi La Nahin Sakta Darrar,
Jab Mil Baithte Hain Yaar To Ban Jaata Hai Tyohaar,
Yahi To Hote Hain Dildaar, Inheen Hi Kehte Hain Bachpan Ke Yaar...



Must Read:- Dekhi Yaaron Ki Yaari Jo Kehte The Dost Wo Bhool Gaye - Dosti Shayari





लम्बी शायरी ग़ज़ल -22

सिंपल ग़ज़ल शायरी द्वारा: सागर कुमार


बचपन के यार शायरी...


यूँ ही नही बन जाते दिलों के रिश्ते और रहते हैं सदा-बहार,
चाहे हो जाये कितनी भी लड़ाई और हो जाएं गुस्सा एक दूसरे से सौ बार,
फिर भी मुश्किल घड़ी में देते हैं एक दूसरे का साथ हरबार,
इन्हीं को तो कहते हैं बचपन के यार।

तारीफें करते हैं बिना किसी मकसद के,
जान छिड़कने को रहते हैं हर दम तैयार,
प्यार करते हैं दिल से, देखते नहीं कि यार मोर्डेन है या है ग्वार,
अक्सर इनकी गालियों से ही पता चल जाता है इनका प्यार,
इन्हीं को तो कहते हैं बचपन के यार।

भले ही रहते हों सात समंदर पार,
लेकिन फिर भी सुन लेते हैं एक दूजे की पुकार,
ज़िन्दगी की इस भाग दौड़ में भी,
मिलने को यारों से, ये खोल ही लेते हैं वक़्त के द्वार।

जब भी मिलते हैं खो जाते हैं अपने यारों में यार,
यारों के बीच कोई ला नहीं सकता दरार,
जब मिल बैठते हैं यार तो बन जाता है त्यौहार,
यही तो होते हैं वह दिलदार, जिन्हें कहते हैं बचपन के यार...



जरूर पढ़ें:- एक नज़र देख ले तेरा जाता क्या है | ग़ज़ल शायरी

No comments:

Post a Comment

Copyright: @jaykc86. Powered by Blogger.