Ye SHAAZ Deewana Ho Gaya Hai | Long Love Ghazal Shayari

Ghazal Shayari -12

Love Ghazal Shayari by: SHAAZ


Ye SHAAZ Deewana Ho Gaya Hai...


Ye-SHAAZ-Dewaana-Ho-Gaya-Hai-Love-Ghazal-shayari-SHAAZ



Ye Shaaz Dewaana Ho Gaya Hai,
Kisi Ki Chahat Me Ye Mastaana Ho Gaya Hai,
Shamma Ko Dekh Jalta Huaa,
Shaaz Bhi Kataar Me Khada Parwaana Ho Gaya Hai.
Ye Shaaz Dewaana Ho Gaya Hai....

Likhte-Likhte Najmen Ye Khud Aashiqana Ho Gaya Hai,
Shabdon Ke Jaal Ka Ye Khud Nishana Ho Gaya Hai,
Abhi-Abhi Mili Hain Najren Kisi Se,
Or Dekho Lagta Hai Jise Aashiq Poorana Ho Gaya Hai.
Ye Shaaz Dewaana Ho Gaya Hai....

Kisi Ke Muskuraane Ka Ye Bahaana Ho Gaya Hai,
Iska Bhi Koi Chahane Waala Ho Gaya Hai,
Najren Dhondati Hain Usi Chehre Ko,
Iska To Mushkil Ik-Ik Pal Bitaana Ho Gaya Hai.
Ye Shaaz Dewaana Ho Gaya Hai....

Dil Dhadkane Laga Saanso Ka Bhi Shuru Aana-Jaana Ho Gaya Hai,
Ye Dil Jaanta Hai Kitna Dushvaar Ab Waqt Betaana Ho Gaya Hai,
Najren Uth-Ti Nahin Zabaan Saath Nahin Deti,
Ke Mushqil Unko Haal-E-Dil Bataana Ho Gaya Hai.

Ki Shaaz Jinka Dewaana Ho Gaya Hai....



You Might Also Like:

Main Musafir Hun Chalta Ja Raha Hun - Ghazal Shayari SHAAZ




लम्बी शायरी ग़ज़ल -12

लव ग़ज़ल शायरी द्वारा: शाज़


ये शाज़ दीवाना हो गया है...


ये शाज़ दीवाना हो गया है,
किसी की चाहत में ये मस्ताना हो गया है,
शम्मा को देख जलता हुआ,
शाज़ भी कतार में खड़ा परवाना हो गया है.
ये शाज़ दीवाना हो गया है....

लिखते-लिखते नज्में ये खुद आशिक़ाना हो गया है,
शब्दों के जाल का ये खुद निशाना हो गया है,
अभी-अभी मिली हैं नजरें किसी से,
और देखो लगता है जिसे आशिक़ पुराना हो गया है.
ये शाज़ दीवाना हो गया है....

किसी के मुस्कुराने का ये बहाना हो गया है,
इसका भी कोई चाहने वाला हो गया है,
नजरें ढूंढती है उसी चेहरे को,
इसका तो मुश्किल इक-इक पल बिताना हो गया है.
ये शाज़ दीवाना हो गया है....

दिल धड़कने लगा साँसों का भी शुरू आना-जाना हो गया है,
ये दिल जानता है कि कितना दुश्वार अब वक़्त बताना हो गया है,
नजरें उठतीं नहीं ज़बान साथ नहीं देती,
के मुश्क़िल उनको हाल-ऐ-दिल बताना हो गया है.

की शाज़ जिनका दीवाना हो गया है....



You Might Also Like:

Tootta Hai Dil To Aawaj Nahin Hoti | Ghazal Shayari


No comments:

Post a Comment

Copyright: @jaykc86. Powered by Blogger.